Main koh-kaafo'n mein,
firta hoo'n aawara,
Kbhi makdoonia,
kb hoo'n bukhara,
Main Us parda-nashi'n ko dhund'ta hoo'n,
Kahi'n to maah-jabi'n ka ho nazara;
kya rukhsaar ki kahiye,
Pari si hu-b-hu thi,
Koi khushbu nashili si bhi,
Uske chaar su thi,
Ke jannat mein bna libaas uska,
Ke wo firdaus ka koi sitara,
Main koh kaafo'n mein,
Firta hoo'n aawara;
Kasak si hai ke dil mein ke,
Main ab iran jau'n,
Main dhun'du misar mein usko,
Yaa'n fir yunaan jau'n,
kahi'n se dil-ruba aawaz de-de,
Hassi'n aankho'n ka mil jaaye nazara,
Main koh-kaafo'n mein,
Firta hoo'n aawara;
Main sadqey jau'n,
Sharmaane se parda-daario'n se,
Thi bikhri sard-muskaahat,
Surkh chingaario'n se,
Ye dil aadaar hai,
Bedaar bhi hai,
Ke wo jalwa dikhana Fir dobara,
Main koh-kaafo'n mein,
Firta hoo'n aawara;
Thi naazuk es kadar ke,
Gull ko bhi aaye pasina,
Blaa ki khoobsurat wo,
Gazal jaisi hasina,
Ke resham si poshaako'n mein tha lipta,
Gulabi dehkta koi sharara,
Main koh-kaafo'n mein,
Firta hoo'n aawara;
Kisi shayer ka khat aaya,
Ke wo Lahore se hai,
Mujhe shak hai,
Wo mere gaao'n se,
Bajraur se hai,
Usi punjab ki purnoor malika,
Koi Sartaaj hai Uska sahara,
Main koh-kaafo'n mein,
Firta hoo'n aawara;
Main koh-kaafo'n mein,
firta hoo'n aawara,
Kbhi makdoonia,
kb hoo'n bukhara,
Main Us parda-nashi'n ko dhund'ta hoo'n,
Kisi ke paas ye song ya recording h ?
ReplyDeletehttps://www.youtube.com/watch?v=p-OxR5erEqQ
Delete